Friday, April 17, 2009

HAZRAT MUHAMMAD (SALLALLAAHUALAIHIWASALLAM) SAID:”kuch aise log honge jinko JANNAT main jaane ka hukum diya jayega, lekin woh JANNAT ka rasta bhool jayenge”.. poocha gaya ye kaun log honge? AAP (SALLALLAAHUALAIHIWASALLAM) ne farmaya:”ye woh log honge jin ke saamne mera naam liya jaaye or ye mujh par DAROOD bhejna bhool gaye ho”Qur’an mein 700 baar namaz ki dawat di gayi hai, Ayesha (raziallah tala annhu) ne sab se pehle Qur’an ki aayaton ko gina hai.Qur’an me surah Al-baqarah sab se bada surah hai.Surah Al-Kausar sab se chhota surah hai.Qur’an ko poora hone mein 22saal, 5mahine aur 14 din lage.Qur’an mein allah ka naam 2584 baar hai aur duniya mein Qu’ran 103 language mein likha hai.Qur’an me 5 masjid ke naam hain…. Qayamat ka ek din 50 hazar saal ka hoga yani,1 namaz QAZA = 2crore 88 lakhs saal Jahanum mein(namaz qaza karne se itni badi saza hai, toh socho namaz nahi padne se kitna AZAAB hoga)




HADEES MubarakMomin Masjid Me Aisa Khush Hota HaiJaisa K Machli Pani Main.
Aur Munafiq Masjid Me Aisa Tang Hota HaiJaisa K Parinda Pinjre Main…


Hadees Mein HaiSharab Haram Hai Hiska Baradhna Haram HaiDawaa Ke Dhur Bhi Husko PinaAur Lagana Acha NahiBalke Jis Dawaa Mein Sharab Padi HoHusko Pina Aur Lagana Bhi Acha NahiAur Jo Insan Sharab Ko Haram Na SamjheWo Kafeer Hai Aur Haram Na Manne Wala Fasik HaiAur Sakdh Sazaa Ka Musthahak Hai AurHamare Nabi Ne Farmaye Hai KiSharab Pina Wala Phirhon Ke SaathDosak Mein Jayega AurAllahtalah Apni Izzat Ki Kasam Ke Saath Farmate HaiKi Duniya Mein Jo Insan Sharab PiyegaMein Qayamat Ke Din Husko Aisa Pyaasa RakhugaKi Huska Dil Pyaas Ki Tezi SeAag Ki Tarah JalegaAur Zuban Huski Chathi Par Aa PadigiSharab Mat Piyo Aur Na Socho Na DekhoDua Mein Yaad Rakhna Har Muslims Ko Mujhe Bhi.




Hadees Shareef
1) Lazaton Ko Khatam Karne Wali Maut KoKasrat Sey Yaad Kiya Karo(Sahi Bukhari)
2) Duniya Mai Aisey Raho Jaisey Pardaisi(Sahi Bukhari)
3) Allah Usske Chahre Ko Tarotaza RakheJissne Meri Baat Ko SunaYaad Kiya Or Aagay P0hancha Diya(Sahi Muslim)
Rasoolullah SallALLAHu Alayhay Wasallam ne Farmaya:“Khairaat ko Mat roko werna tumhara Rizq bhi Rok diya jaye ga”.
(Sahi Bukhari, Kitab Uz Zakat, Hadees:1433)




Hamara Libas 8 Gz,Hamara Kafan Sirf 2.5 Gz,Hmara Ghr 400 Gz,Hmara Asal Ghr 2.5 Gz,Hmaray Irady 200 saal K,Mgar Hmari Zindagi 1 sawalya nishaan??Padaish k wqt AZAAN de jati Hai ,Namaaz nahi parhi jati,Maut k waqt Namaz parhi jati Hai,AZAAN nahi de jati,
Yani "Ye Zindagi, AZAAN SE NAMAAZ TAK KA WAQFA HAI"





QURAN me 700 baar ''Namaz'' ki dawat di gayi
Hazrat Ayesha (RA) ne sabse pehle Quran ki Ayaton ko gina
Quran me Surah Al Baqara sabse bari AurSurah Al Kausar sabse choti surah he
Quran ko pora honey me 22saal 5mah 14din lage
"Quran me ALLAH ka naam 2584 baar he"
"Duniya me Quran 103 zabano me he"
Quran me 4 Masaajid k naam hain
1)Masjid-ul-Haram2)Masjid-ul-Ziraar3)Masjid-ul-Nabawi4)Masjid-ul-Aqsa





Azaan khmoshi se sunno,Aur azaan ka jawab b do,Azan k 1 lafz k badle,1500 naikian milti hy,Mukamal Azzan kaJawab dene se2640000(26 lakh 40 thousand)naikian milti hy




ALLAH Pak Kon Hain?
A= AhadL= La ShareekL= Lam Yalid Walam YuladA= Awal o AakhirH= Haqiqi Mabood
Tou Imaan Walo Ye Tumhara AQEEDA Hona Chahiye.





Jannat Wale Jab Dozakh Walo'n Se Pooche'n Ge kKia Cheez Unko Dozakh Me Lai Hy Tou Wo Kahe'n Ge
"Hum Namaz Nahi Parhty Thay"
[Surah Muddasir Aayat 40-43]





HADEES PAK:
Jab tum me sey koi Janaza dekhe,Aur us k sath Na ja sake to us waqt Tak khara Rahey,Jab Tak wo Aage na Nikal jaey.
Sahi MuslimVol-1 Page-671.







Ya Allah hum par Reham Farma,Be shak tu Raheem hai.
Hamaray Gunaah muaf Farma,Be shak tu Rehmaan hai.
Hamara Rizq Kushada Farma,Be shak tu Raziq hai.
Hamaray Walidain pe Reham Farma,Be shak tu Kareem hai.
Aameen...





Qurani surton ki khasosiyat:Sur-e-Fatiha Allah k azab sy bachati hy
Sur-e-Yaseen qayamat k din pyas sy bachati hy
Sur-e-Waqia fikar-o-fakay sy bachati hy
Sur-e-Mulk azab-e-qabar sy bachati hy
Sur-e-Kosar dushmanon ki dushmani sy bachati hy
Sur-e-Kafron mout k waqat kufar sy bachati hy
Sur-e-Ikhlas munafqat sy bachati hy
Sur-e-Falaq haadsoon sy bachati hy
Sur-e-Naas waswasoon sy bachati hy
Qimiti gift hay. Dosron ko bhi gift karen.





Namaz ke 10 Faide.
1) Chehre ki Nooraniyat.
2) Dil ka Noor.
3) Jism ki Rahat.
4) Qabar mein Saathi.
5) Nuzool-e-Rehmat ke zaryaa.
6) Aasmano ki Chaabi.
7) Mizan-e-Hisab ka wazan.
8) ALLAH ki raza .
9) Jannat ki Qeemat.
10) Aag se bachao ka zarya.
Namaz ko mat kahein mujhe kaam karna hai,
Kaam ko kahein mujhe Namaz parhni hai..






Jo shaks naik baat ki sifaarish kare,
To is ko is mein se hissa mile ga..
Aur jo buri baat ki sifaarsih kare,
Is ko bhi is mein se hissa mile ga..
Aur ALLAH Pak her cheez per Qudrat rakhta hai..
(Al-Nisa)(Verse 85)




"10" baatein"10" baaton ko khatam kar deti hain
1. Tauba - Gunah ko
2. Dukh - Zindagi ko
3. Ghussa - Aqal ko
4. Sadqa - Musibat ko
5. Chugli - Dostee ko
6. Namaz - Be-Hayaee ko
7. Neki - Badi ko
8. Jhooth - Rizq ko
9. Zulm - Insaaf ko
Aur10. Takabur - Aamal ko
Achi bat phelana sadqa jaria hai.






DUA mangte raho,Q k mumkin aur Na mumkin to sirf hamari "Soch" main hay,
ALLAH k liye to kuch bNa mumkin nahi.
Hazrat Umar (R.A)





"ALLAH O AKBAR"Ager hum poore din mein sirf 1 Sms bhi ALLAH ke Islamko phailane ke liye bhaijein to hamare 1 Sms se her rozLakhon logo ki zuban pe ALLAH ka naam ho ga.
"ALLAH O AKBAR"





Intresting information in Quran
Quran main LIFE ka zikar 145 bar ayahai aur DEATH ka zikar b 145 bar
Angels ka zikar 88 bar aur evils ka zikar b 88 bar
Dunya ka zikar 115 bar aur akhrat ka zikar b 115 bar
Insano ka zikar 50 bar aur Rasoolon ka zikar b 50 bar
Iblees ka zikar 11 bar aur us se panah ka b 11 bar
Musibat ka zikar 75 bar aur shukar ka b 75 b bar
Sadqa ka zikar 73 bar aur sakoon ka zikar b 73 bar hai





Aap S.A.W.W ke pyare betay ki wafat per Aap S.A.W.W bohot ghamgeen thay.
Bibi Ayesha R.A ne Aap S.A.W.W se arz kiya ke ALLAH ne nabi ko ye darja ata kiya hai ke woh apni zindagi mein koi aik dua maang sakte hein jo foran qabool ki jaye gi,
To Aap S.A.W.W apne betay ki dobara zindagi ki dua kiu nahi maang lete,
ALLAH qabool karne wala hai.
Aap S.A.W.W ne farmaya ke woh dua mein ne akhrat mein apni ummat ke liye sanbhal rakhi hai.
"Subhan Allah"






Hadees-e-Pak
Hazrat Abu Hurera R.A ne kaha ke "Huzoor S.A.W" ne farmaya ke:
Tum mein koi "Moat" ki arzoo ma kare (Isi liye ke) Woh ya tu "Nekokar" hoga,
To mumkin hai is ke naik amal mein "Ziyadti" ho jaye aur ya "Badkar" hoga,
To ho sakta hai ke "Aainda" toba kar ke ALLAH ki "Khushnoodi" hasil karle..
(Bukhari Shareef)
Ba Hawala
(Anwar-ul-hadees, page number 226)





Kisi ache saath ki zaroorat hai aap ko?
Apne Rab se dosti kar lein,
Yahi woh zaat hai
Jo kabhie aap ko tanha nahi chore gi





Hadees-e-Pak
ALLAH ko teen amaal bohot pasand hein,
1) Shukar ada karna.
2) Dua karna.
3) Astaghfar.





RasoolALLAH SallALLAHu Alayhay wasallam Ne frmaya :
LANNAT hai unn Mardon pr jo Aurton ki tarha nazar Aana chahtay hain aur unn Aurton pr jo Mardon ki tarha nazar Aana chahti hain.(Sunan Abu daud Kitab ul libaas Hadees 697)






Fajar ki namaz ko apna naseeb bana lo.
Zohar ki namaz ko apna muqaddar bana lo.
Asar ki namaz ko apni taqdeer bana lo.
Mughrib ki namaz ko apni umeed bana lo.
Eesha ki namaz ko apna mustaqbik bana lo.
Phir dekho zindagi kitni khoobsorat lagti hai.






Rasool Allah (S.A.W)Ne Irshad Farmaya:
"Jo Shaks Quran Parhne Me Maharat Rakhta Hy (Wo) Mo'aziz-o-MukarramFarishto'n k Saath HogaAurJo Shaks Quran Ko Atak Atak Kr Aur Bari Mushkil Se Parhta Hy Us k Liye Dohra Ajar Hy (Parhne Ka Aur Koshish Krne Ka)"
Raat Ka Khana Na Choro Chahey 1 Meethi Khajoor Kyun Na HoKyun kRaat Ka Khana Chorhna Aadmi Ko Zaeef Ker Deta Hy.
[Ibn-e-Maja P=321, V=2_!]






F R I D A Y
F=Farz ALLAH ka ada karo.
R=Rab ko raazi karo.
I=Ibadat dil se karo.
D=Darood kasrat se parho.
A=ALLAH se maango.
Y=Yaad rakho mujhe bhi DUNAON mein.






WAZOO ker k sonay k 4 Fazaail.
1: uski rooh Baitullah sharif ka tawaf krti hai.
2: Farishte sari raat us k liye nekiya likhte rehte hain.
3: jab karwat badalta hai iski bakshish k liye dua krte hai.
4: jab subha so kar uthta hai tou jo dua mange pori hogi..
In faido k liye rozana wazo kr k soye






"Sunita Williams"
(Pehli indian hindu aurat jo Chand per gayi thi, 02/07/07)
Us ne "Islam" qabool kar liya hai.
Use kaha hai ke: Chand se saari Zameen kali nazar aati hai.
Magar sirf 2 jagah roshni thi.
Jab us ne "Telescope" se dekha to roshni wali jagah
"MAKKAH"
Aur
"MADINA"
thi.
ALLAH-O-AKBAR






Rasool Allah(S.A.W) ne sood khaanay wale, Khilanay wale, Us ke likhne wale aur us ko do gawahon per lanat farmayi hai:Ye (gunah mein) brabar (ke shareek) hein.(Sahih Muslim,Hadees#1598)






"Aur Allah ki Rehmat se Na-Umeed mat ho. Beshak Allah ki Rehmat se wohi log Na umeed hoty hain jo Kafir hain."
(Al-Quran YOUSUF:87)
Beleive only on ALLAH





Allah Pak ne Hazrat Moosa se Farmaya:Aye Moosa jab tum mjhse kalaam karte ho to tumhary aur mere beech main 70 Farishtay hote hain.Magar jab Hazrat Muhammad(S.A.W) ki ummat mujhse kalaam keregi to unke aur mere beech main koi nahi hoga.Ye woh log hain jo Iftaar k waqt mujhse dua mangtay hain, Main unki us waqt ki dua ko qabool kerta hon, aur kabhi radd nahi kerta.







Zana karne walon par 6 museebaten nazil hongi,Jin main se 3 dunya main, aur 3 aakhirat main,1. Rizq kam ho jata hai,2. Maut qareeb ho jati hai,3. Dunya main be aabru hoga.
Aur Aakhirat main:4. Khuda ka Azaab,5. Hisaab main sakhti,6. Hamesha k liye dozakh ki aag.





Hadis-e-PakSadqa gunahon ko is tarah khatamkar daita hai jis tarah pani aag ko buja daiti hai.





Quran Majeed ka naam Allah Pak ne rakha,Quran ka lafz sab se pehle Surah Muzammil main nazil hua,Quran ka lafz Quran-e-Majeed main 66 martaba istemaal hua hai,Quran-e-Majeed main sab se ziyada hurf "ALIF" istemaal hua hai,Quran-e-Majeed main sab se kam hurf "ZUAA" istemaal hua hai.







Aisa konsa kaam hai jis k karnay waly ko Allah Pak bohat pasand karte hain.Magar woh Kaam Hazrat Muhammad(Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne woh kaam nahi kya?
Answer: Huzooor (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne kabhi Aazaan nahi di, Agar Aap (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) Aazan dete to
Kainaat ki har cheez Masjid main aa jati or Nizaam-e-Kainaat Tabaah ho jata, Subhaan Allah.






Rasool Allah (Sallalah-o-Alaihe Wassalam) ne Farmaya:1. Jo shakhs har waqt wazuu main rahega Allah Taala uski rozi kushada farmayega.2. Us shakhs ki Hajat jald poori hoti hai jo apni Hajat kisi aur insaan ko na bataye.3. Allah Taala us shakhs ko aabad karta hai jo Hadees-e-Nabwi(S.A.W) sun kar doosron tak pohnchaye.






Hazrat Muhammad sALLALAH-O-ALAIH-E-WASSALLAM said:kuch aise log hongay jinko Jannat main jany ka hukum diya jayega, lekin woh log Jannat ka rasta bhool jayen gay.Pucha gaya ye log kon hongay?Aap (S.A.W) ne Farmaya: Ye woh log hain jinke samnay Mera Naam liya jaye, aur ye mujh par Durood Bhejna bhool jatay hain.
(Allah Pak sab ki Maghfirat Farmaen - Aameen Summa Aameen)







Hazrat Umar (R.A) ne farmaya: "Mohtaji aur ghurbat char (4) cheezon se aati hai;1- Jaldi jaldi namaz parhne se,2- Khare ho k pani peeny se,3- Munh se charagh bujhane se,4- Daman ya aasteen se munh saaf karne se.Aapko tou iska pata chal gaya, plz auron ko bhi bataain because aapki wajha se koi in cheezo se bach sakta hai.















36 comments:

  1. Allah ta'ala nabi-e-paak salal laahu alai hi wa sallam ke sadqe me hamare gunaho ko muaaaf farmaye, aur jannat-ul-firdous me jagah naseeb ata kare. Aameen!

    ReplyDelete
  2. Ibrar Arshad.
    Allaha Pak hamien in baton par amal kr tofeq ata frmay.ameen

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. sir mainy kai dafa zana kia hain lakin kiss tak gya tha orr meri mafi hain oooorrr kia laqin kafi dafa hain koi 20 dafa ab btay kia karn??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sachy dil say toba karo ALLAH PAK say
      ALLAH PAK behtr farmay gay.
      Jo sachy dil say toba karta hai ALLAH PAK uski toba qabol farmaty hai.

      Delete
    2. Bhai umar tahir Saab Allah ke rehmat bohot wasee hi ap a is tarha kare k tuba Kari liken sachi dil c aur phir kabhi aisa gunah na Kare inshallah Allah ghaforor raheem zaat hi mafi kardega....

      Delete
  5. do not believe all of them without proof and searching proof because i do search and sth is just wrong...so Be Careful......

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  7. Sahabia k name k sath Razi Allah u Anha prha jata hy Anhu nhi prhty

    ReplyDelete
  8. Without reference Hadees post Nhn Kia Karen .

    ReplyDelete
  9. Subhan ALLAH..
    http://www.web-development.co/

    ReplyDelete
  10. ameeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen

    ReplyDelete
  11. Nabi Kareem SAW ny Hazrat Imam Hussain RA k kaan my azan di

    ReplyDelete
  12. ALLAH APKO SAHEEH AHADEES MUBARAKA PILANY KI MAZEED TUFEEQ DI

    ReplyDelete
  13. ALLAH APKO SAHEEH AHADEES MUBARAKA PILANY KI MAZEED TUFEEQ DI

    ReplyDelete
  14. SubhanAllah SubhanAllah Allah Make Us easy to read and understand of Quran and Hadith.... Aameen.

    ReplyDelete
  15. Mashallah...! Subhanallah...! May Allah guide us on the right path... Ameen ya rabbal aalameen

    ReplyDelete
  16. aazan ma durod sharef parna kesa ha.

    ReplyDelete
  17. Its really a great knowlege , very thank to u from the depth of our heart.. #SHUKRIYA...

    ReplyDelete
  18. I want to ask one question and that is k PANCHO WAQT KI NAMAZ ALAG ALAG NABI WA AULIYA-EKRAM PAR NAZIL HUI H , PLZ MUJHE YE BTYEIN K KONSE WAQT KI NAMAZ KIN KIN PAR NAZIL HUI HAI?

    ReplyDelete
  19. Subhan Allah
    Ameen summa ameen sahi baath hai humko puraa mera dil se accha lagah .....

    ReplyDelete
  20. hello,
    this post is very useful for me. lot of thanks sharing this post.

    regards,

    priya arora

    ReplyDelete
  21. ALLAH aur RASOOL E PAK SAW KI HAR baat piari. Ay ALLAH in batoon par ammal ki toufeeq day. Ameen.

    ReplyDelete
  22. Boht piyari hadeesen Hain 😊😊😊❤️❤️❤️ALLAH Amal ki tofeeq de Ameen

    ReplyDelete
  23. Lucky Club Casino Site - Free Slots, Table Games, Roulette
    Lucky Club Casino is a fun and secure online casino offering real money casino play in the US. Join today and play 카지노사이트luckclub with us! Rating: 4.6 · ‎15 votes · ‎Free · ‎Game

    ReplyDelete